Saturday, September 1, 2018

Tribute to Indian farmers

                                     Bhartiye kishan

Namaskar dosto,
                    Aaj hamare badalte desh bharat me hamlog bahut prakar ke parivartano ko dekh sakte hai. Aaj hamara desh jo itna mahan hai, usi desh me tarah tarah ke samasyaon se hamlog parichit ho rahe hai. Aaj unhi badi samasayaon me se ek samasya hai jo hai Bhartiye kishano ki samasya.
                                             Aise to hamare bharat desh ko logo dwara krishi-pradhan desh yani kishano ka desh kaha jaata hai,jo hamare desh ke liye swabhagya ki baat hai lekin aaj ki is badalte desh me aisa lagta hai ki log bhul gaye hai ki yeh kishano ka desh hai jo kishan aur hamare desh ke liye durbhagya ki baat hai. Kyuki jo saare desh ko khilate hai ve aaj khud bhukh se mar rahe hai. Hamare desh ke kishan aaj se nhi balki yugo se garib hote aur garibi ko jhelte aa rahe hai. Hamare desh ko log kishano ka desh to keh dete hai lekin kya ye such-much kishano ka desh hai, agar ha to phir aaj iss desh me kishan jo pure desh ko khilate hai we khud bhukh se kyu mar rahe hai, aakhir kya wajah rahi hogi jo ki kishan desh ke aajadi ke baad bhi khud-khusi karne pe majbur hai.
                               Aaj hamare desh ko badalne ke liye sabhi varg ke logo ki kaya palat ho rahi hai. Lekin kya iss desh ke kishano ki halat ne sudhar ho raha hai? Mere anushar to nhi kyuki agar kishano ki halat me sudhar hoti to,hamare desh ke kishan garib aur lachar nhi hote aur nahi atmahatya karne ko majbur hote. Aaj ham kishano ke desh kahe jaane wale bharat desh me ham kalpana bhi nhi kar sakte ki kishano ko kitni tatah ke muskilo ka samna karna padh raha hai. Iss desh me kishano ki sahayta ke liye koi aage nhi aa raha.
Aam insano ki baat to chod hi de, lekin kya iss lok-tantrik desh bharat me na jaane kitni sarkar bani lekin kya kisi ne kishano ki taklifo aur unke zarurto ko samjha agar ha to aaj hamare kishano ke desh bharat me unke halat uss vriksh ke saman kyu ho gaye hai jo vriksha to hai lekin unki daliyon ko kat liya gaya ho.
                     Aaj iss desh ki pehchan ko mahan banane me agar sabse jyada yogdan kisi ka raha hai to ve hamare desh ke kishan hai. Agar iss desh ke mahanta ko koi samajhta hai to we kishan hi hai aur sayad yahi karan raha hai ki kishan pure desh ko khilate hai bhale hi we khud na khaye,aur apne beto ko sharhad (Border) pe khada kar dete hai jo hamare pure desh ko bachate hai.
                        Aaj iss badalte desh bharat me kishano ko koi sahara nhi deta. Hal to iss prakar ho gaya hai ki aaj adhunik-samay me rehne wale log jo khud ko modern aur gyani samajhte hai wahi log kishan hona beijati ke saman samjhte hai.
Lekin ye log bhul rahe hai ki agar aapke pass bahut sara paisa hai lekin khate aap wahi hai jo kishan din-raat mehnat kar ke upjata hai. Yadapi aap bahut dhani hai, lekin aap paise ko nhi kha sakte. Isiliye kishano ko garib aur budhi-hin mat samajhiye kyuki kishan uss vriksha ke samaan hote hai jiski mahanta ko log tab samajhte hai jab unhe uski zarrurat hoti hai.
                    Na jaane kin-kin tarah ke muskilo se nipatne ke baad kishan hame bhojan dete hai aur badale me ham unhe iss kathin mehnat aur imandari ke badle kewal garibi aur dukh dete hai.
Kishan hona koi sharm ki baat nahi, balki ye garv ke baat hai kyuki iss duniya me har koi apni imandari aur mehnat ko nahi dekha sakta bhale hi uske samne kai muskile aa jaye. Isiliye kishano ki ijaat kare aur unki garibi ko dur karne ka prayash kare aur aapne desh ko phir se kishano ka desh banaye. 
       A small tribute to Indian farmers from BYRS.

Yuvaon me chamta pradarshan ki kami

Namaskar dosto,
                   Jaisa ki aap sabhi jante hai ki bhagwan ne har manusya ko ek vishesh chamta diya hai par kya ham me se sabhi log apne iss visesh chamta ka pradarshan kar pate hai. Agar aap khud se yah prashna puchenge to aapko utar milega ki 'Nahi , aap sab apni chamta ka pradarshan nhi kar pate hai.'
               Jaisa ki Napoleon ne kaha tha ki 'Avashar ke bina ham apni chamta ka pradarshan nhi kar sakte hai.' Chamta pradarshan me avashar ek eham bhumika nibhata hai. Aaj kal ki duniya me jin logo ke pass chamta hoti hai unko avashar nahi mil pata hai aur jinke pass avashar hota hai unke pass chamta ki kami reh jati hai.
              Aur aaj kal ke log to avashar milne pe bhi uska mahatwa nahi samajhte hai aur uss avashar ko gawa dete hai aur baad me avashar ki talash karte hai. To kyu na pachtane se pehle hi ham iss avashar ka labh utha le.
               Aur yuvaon  ke pass chamta to itni hoti hai ki wah kisi desh me kranti bhi la sakte hai par uska pradarshan nahi karte hai. Jaisa ki hamare sangthan ke naam se hi ye pratit hota hai ki ye sangathan yuvaon ka hai kyuki yuva hi desh ke bhawishya hote hai. Aur inhi sab cheezo pe hamara yah sangthan kam karta hai. Ham aapke liye avashar lekar aaye hai. Agar apke pass chamta hai to apni chamta ka pradarshan karne ka sayad aisa avashar phir na aaye. To kyu na ham sab milkar iss avashar ka bharpur labh uthai.
                Mai samajhta hu ki aap sab inn bato par amal karenge aur hamari group ka member banke garibo evam yuvaon ke uthan me hamari madad karenge taki un garibo ko bhi avashar mil sake jiske sahare wo aage badh sake aur jeewan me uchai prapta kar sake.

Jai hind, jai bharat