Bhartiye Yuva Rastra Sangh
Bharat ek aisa desh hai jise prachin samay me 'sone ki chidiya' kaha jata tha. Yaha na to koi hindu aur nahi koi aur dharma tha. Is desh me sab logo ki ek hi pehchan thi jo thi ki we 'bhartiye' the.
Lekin kaha jata hai ki 'Pariwartan hi sansar ka niyam hai'. Thik isi prakar hamare desh ke logo ke sath bhi hua. Hamara desh 'Bharat' to nhi badala lekin yaha pe rehne wale logo me pariwartan aa gaya aur pariwartan me bhi logo ne jyadatar bhed-bhaw, uch-nich jaisi pariwartano ko apnaya,jo bahut hi galat hai. Bharat,jis desh me kisi cheez ki kami nhi thi, jis desh me sabse jyada devtaon evam gyani puruso ka janm hua aur jis desh me sabse adhik mahiravo ka uday hua usi badalte desh me yaha ke logo ke soch me ghatiya pariwartan aa gaya.
Is desh ke itni mahan rup hone ke bavjud bhi is desh me budhihin aur kayaro wale kaam karne wale logo ki sankhya jyada hai.
Jis desh me nariyo ki puja hoti thi usi desh me aaj unke saath galat manshikta wale log unke sath bahut galat kar rahe hai. Is baat ko dekhte hue aisa pratit hota hai jaise mano ki is mahan desh me koi veer purush bacha hi na ho kyuki agar koi veer purush is desh me bacha hota to aaj hamari bahan-betiyon ke saath galat na hota. Hamare desh ke log aise marg par chal pade hai jaha pe budhihin aadmi bhi bade se bada neta ban jata hai, jo hamari 'bhartiye sanskriti' ko badrang karne ke saman hai. Aaj hamare desh ke log aise raste pe chal rahe hai jo pragati ki taraf to badh raha hai lekin badhne ke sath wo aapne 'bhartiye sanskriti' ka hi gala ghotta chala ja raha hai. Hame pragati ki taraf chalne ki koi avashyakta nhi, agar ham apni soch ko badle to desh khud pragatishil ho aayega aur aisa tabhi hoga jab ham apni desh ki sanskriti ko yaad rakhe. Is desh ki garibi ka karan garib nhi balki unse galat tarah se lute gaye rupay ghatiya soch wale beiman aamir hai.
Isiliye sabse pehle hame aapni sanskriti ko pehchanna hoga uske bad desh ko aage pragati ke raste pe le ja sakte hai. Kyuki agar aapko desh ko badalna hai to sabse pehle khud ko badalna hoga yani apni is sanskriti ko chodkar purani sanskriti ko apnana hoga to desh khud hi badal jayega.
Symbol of our party
Symbol of our party