Saturday, September 1, 2018

Tribute to Indian farmers

                                     Bhartiye kishan

Namaskar dosto,
                    Aaj hamare badalte desh bharat me hamlog bahut prakar ke parivartano ko dekh sakte hai. Aaj hamara desh jo itna mahan hai, usi desh me tarah tarah ke samasyaon se hamlog parichit ho rahe hai. Aaj unhi badi samasayaon me se ek samasya hai jo hai Bhartiye kishano ki samasya.
                                             Aise to hamare bharat desh ko logo dwara krishi-pradhan desh yani kishano ka desh kaha jaata hai,jo hamare desh ke liye swabhagya ki baat hai lekin aaj ki is badalte desh me aisa lagta hai ki log bhul gaye hai ki yeh kishano ka desh hai jo kishan aur hamare desh ke liye durbhagya ki baat hai. Kyuki jo saare desh ko khilate hai ve aaj khud bhukh se mar rahe hai. Hamare desh ke kishan aaj se nhi balki yugo se garib hote aur garibi ko jhelte aa rahe hai. Hamare desh ko log kishano ka desh to keh dete hai lekin kya ye such-much kishano ka desh hai, agar ha to phir aaj iss desh me kishan jo pure desh ko khilate hai we khud bhukh se kyu mar rahe hai, aakhir kya wajah rahi hogi jo ki kishan desh ke aajadi ke baad bhi khud-khusi karne pe majbur hai.
                               Aaj hamare desh ko badalne ke liye sabhi varg ke logo ki kaya palat ho rahi hai. Lekin kya iss desh ke kishano ki halat ne sudhar ho raha hai? Mere anushar to nhi kyuki agar kishano ki halat me sudhar hoti to,hamare desh ke kishan garib aur lachar nhi hote aur nahi atmahatya karne ko majbur hote. Aaj ham kishano ke desh kahe jaane wale bharat desh me ham kalpana bhi nhi kar sakte ki kishano ko kitni tatah ke muskilo ka samna karna padh raha hai. Iss desh me kishano ki sahayta ke liye koi aage nhi aa raha.
Aam insano ki baat to chod hi de, lekin kya iss lok-tantrik desh bharat me na jaane kitni sarkar bani lekin kya kisi ne kishano ki taklifo aur unke zarurto ko samjha agar ha to aaj hamare kishano ke desh bharat me unke halat uss vriksh ke saman kyu ho gaye hai jo vriksha to hai lekin unki daliyon ko kat liya gaya ho.
                     Aaj iss desh ki pehchan ko mahan banane me agar sabse jyada yogdan kisi ka raha hai to ve hamare desh ke kishan hai. Agar iss desh ke mahanta ko koi samajhta hai to we kishan hi hai aur sayad yahi karan raha hai ki kishan pure desh ko khilate hai bhale hi we khud na khaye,aur apne beto ko sharhad (Border) pe khada kar dete hai jo hamare pure desh ko bachate hai.
                        Aaj iss badalte desh bharat me kishano ko koi sahara nhi deta. Hal to iss prakar ho gaya hai ki aaj adhunik-samay me rehne wale log jo khud ko modern aur gyani samajhte hai wahi log kishan hona beijati ke saman samjhte hai.
Lekin ye log bhul rahe hai ki agar aapke pass bahut sara paisa hai lekin khate aap wahi hai jo kishan din-raat mehnat kar ke upjata hai. Yadapi aap bahut dhani hai, lekin aap paise ko nhi kha sakte. Isiliye kishano ko garib aur budhi-hin mat samajhiye kyuki kishan uss vriksha ke samaan hote hai jiski mahanta ko log tab samajhte hai jab unhe uski zarrurat hoti hai.
                    Na jaane kin-kin tarah ke muskilo se nipatne ke baad kishan hame bhojan dete hai aur badale me ham unhe iss kathin mehnat aur imandari ke badle kewal garibi aur dukh dete hai.
Kishan hona koi sharm ki baat nahi, balki ye garv ke baat hai kyuki iss duniya me har koi apni imandari aur mehnat ko nahi dekha sakta bhale hi uske samne kai muskile aa jaye. Isiliye kishano ki ijaat kare aur unki garibi ko dur karne ka prayash kare aur aapne desh ko phir se kishano ka desh banaye. 
       A small tribute to Indian farmers from BYRS.

Yuvaon me chamta pradarshan ki kami

Namaskar dosto,
                   Jaisa ki aap sabhi jante hai ki bhagwan ne har manusya ko ek vishesh chamta diya hai par kya ham me se sabhi log apne iss visesh chamta ka pradarshan kar pate hai. Agar aap khud se yah prashna puchenge to aapko utar milega ki 'Nahi , aap sab apni chamta ka pradarshan nhi kar pate hai.'
               Jaisa ki Napoleon ne kaha tha ki 'Avashar ke bina ham apni chamta ka pradarshan nhi kar sakte hai.' Chamta pradarshan me avashar ek eham bhumika nibhata hai. Aaj kal ki duniya me jin logo ke pass chamta hoti hai unko avashar nahi mil pata hai aur jinke pass avashar hota hai unke pass chamta ki kami reh jati hai.
              Aur aaj kal ke log to avashar milne pe bhi uska mahatwa nahi samajhte hai aur uss avashar ko gawa dete hai aur baad me avashar ki talash karte hai. To kyu na pachtane se pehle hi ham iss avashar ka labh utha le.
               Aur yuvaon  ke pass chamta to itni hoti hai ki wah kisi desh me kranti bhi la sakte hai par uska pradarshan nahi karte hai. Jaisa ki hamare sangthan ke naam se hi ye pratit hota hai ki ye sangathan yuvaon ka hai kyuki yuva hi desh ke bhawishya hote hai. Aur inhi sab cheezo pe hamara yah sangthan kam karta hai. Ham aapke liye avashar lekar aaye hai. Agar apke pass chamta hai to apni chamta ka pradarshan karne ka sayad aisa avashar phir na aaye. To kyu na ham sab milkar iss avashar ka bharpur labh uthai.
                Mai samajhta hu ki aap sab inn bato par amal karenge aur hamari group ka member banke garibo evam yuvaon ke uthan me hamari madad karenge taki un garibo ko bhi avashar mil sake jiske sahare wo aage badh sake aur jeewan me uchai prapta kar sake.

Jai hind, jai bharat

Saturday, August 25, 2018

Punah bharatiye sanskriti ki orr

                                      Bhartiye Yuva Rastra Sangh

Bharat ek aisa desh hai jise prachin samay me 'sone ki chidiya' kaha jata tha. Yaha na to koi hindu aur nahi koi aur dharma tha. Is desh me sab logo ki ek hi pehchan thi jo thi ki we 'bhartiye' the.
Lekin kaha jata hai ki 'Pariwartan hi sansar ka niyam hai'. Thik isi prakar hamare desh ke logo ke sath bhi hua. Hamara desh 'Bharat' to nhi badala lekin yaha pe rehne wale logo me pariwartan aa gaya aur pariwartan me bhi logo ne jyadatar bhed-bhaw, uch-nich jaisi pariwartano ko apnaya,jo bahut hi galat hai. Bharat,jis desh me kisi cheez ki kami nhi thi, jis desh me sabse jyada devtaon evam gyani puruso ka janm hua aur jis desh me sabse adhik mahiravo ka uday hua usi badalte desh me yaha ke logo ke soch me ghatiya pariwartan aa gaya.
                          Is desh ke itni mahan rup hone ke bavjud bhi is desh me budhihin aur kayaro wale kaam karne wale logo ki sankhya jyada hai.
Jis desh me nariyo ki puja hoti thi usi desh me aaj unke saath galat manshikta wale log unke sath bahut galat kar rahe hai. Is baat ko dekhte hue aisa pratit hota hai jaise mano ki is mahan desh me koi veer purush bacha hi na ho kyuki agar koi veer purush is desh me bacha hota to aaj hamari bahan-betiyon ke saath galat na hota. Hamare desh ke log aise marg par chal pade hai jaha pe budhihin aadmi bhi bade se bada neta ban jata hai, jo hamari 'bhartiye sanskriti' ko badrang karne ke saman hai. Aaj hamare desh ke log aise raste pe chal rahe hai jo pragati ki taraf to badh raha hai lekin badhne ke sath wo aapne 'bhartiye sanskriti' ka hi gala ghotta chala ja raha hai. Hame pragati ki taraf chalne ki koi avashyakta nhi, agar ham apni soch ko badle to desh khud pragatishil ho aayega aur aisa tabhi hoga jab ham apni desh ki sanskriti ko yaad rakhe. Is desh ki garibi ka karan garib nhi balki unse galat tarah se lute gaye rupay ghatiya soch wale beiman aamir hai.
                               Isiliye sabse pehle hame aapni sanskriti ko pehchanna hoga uske bad desh ko aage pragati ke raste pe le ja sakte hai. Kyuki agar aapko desh ko badalna hai to sabse pehle khud ko badalna hoga yani apni is sanskriti ko chodkar purani sanskriti ko apnana hoga to desh khud hi badal jayega.

                       Symbol of our party

Monday, August 20, 2018

Working principle of BYRS

Hey dosto,
Ek baar phir se mai hu aapka dost piyush aur aaj mai aap sab ke man me chal rahe kuch sawalo ke jawab dene ke liye aaya hu.
Aap sab soch rahe honge ki aakhir tum kaise garib bacho ki madad karoge usme mai tumhari kaise madad kar sakta hu aur akhir hmlog hi kyu madad kare.
En sare sawalo ka jawab dene ke liye mai aaj apke samne aaya hu.
To ham garib bacho ki madad unhe ache school me admission dilwa kar karenge .
Aur jaisa ki mai bhi ek middle class family se belong karta hu. To meri bhi aarthik sthiti utni achi nhi hai ki mai unlogo ki puri tarah se madad kar saku par ha wo kehte hai na ki kosish karne walo ki kabhi haar nahi hoti.
Isiliye mujhe aapse arthik madad chahiye ye koi fix nhi hai ki aap kitna de aap 1 ₹ bhi donate kar sakte hai.
Ek sachi baat kahi gaye hai ki
      Amiron ko zaroorat nhi aur garibon ki                                     aukat nhi
Jo bhi kuch kar sakta hai wo middle class

Inhi sab cheezo ko dekhte hue mera yah group kam karta hai.

To agar aap un gareeb bacho ke liye kuch paise dena chahte hai to mere paytm no.
7543932818 par de sakte hai.
Jai hind,Jai bharat

Saturday, August 18, 2018

Bhartiye yuva rastra sangh

Hey dosto,
Mai koi bada blogger to nhi hu aur nahi mera group utna bada hai.
Lekin ha, mere soch aur irade bahut bade hai jisko pura karne me mujhe ap ki madad chahiye.
To app sab soch rahe honge ki " kaise madad,ham kyu kare madad,aur kya tumhare irade hai.
To apko meri madad nhi karna hai balki madad to aapko apni maa bharat maa ko karna hai jo ki garibi se jujh rhe hai
Madad to aapko un garib bacho ka karna hai jiske naseeb me padhai hai hi nhi aur na hi khane ko kuch hai na hi rahne ko aur sayad kuch bhi nhi hai
Kya apne kabhi iss bat ko socha hai ki akhir india piche kyu hai baki desho se??
Kabhi sochna mere bhai tumhe ek hi jawab milega yaha ke logo ki soch ki wajah se.
Yaha ke logo ki soch itni ghatiya hai ki khud 100 ki toffee kha jayenge aur garib ko dene ke liye 1 rupya unke pass nhi hai.
Aur agar koi garib unse bhikh mangta hai to we use inkar kar dete hai.
Aur yaha tak ki agar wo unhe chu deta hai to hazaro galiya yaha tak ki pitayi bhi kar dete hai.
Kya aapne kabhi socha hai ki garib ke pass bhi to 2 hath 2 pair 2 aakh aur sari cheez aap hi ke jaise hoti hai ha wo aapke tarah proper dress cosmetics use nhi karte hai to iske piche bhi to kuch karn hai ki unke pass utna paisa nhi hota hai.
To yahi sab dekhte hua maine ek group ka nirman kiya hai BYRS(bhartiye yuva rastra sangh) ye group unn yuvao ke liye hai jo india ko develop karna chahte hai or garibo ke uthana me meri madad karna chahte hai. To agar aap bhi un logo ki tarah hai jo india ko develop karna chahte hai to pls mere group se jude .




                         Jai hind, jai bharat